Saturday, October 22, 2011

Shayad..

'shayad hum isiliye do bara mile hain,.. ' yah shabad mare kano main gunj rahe the kal bade der tak.

'purani kitab ke panno main se nikal kar jis tarah koi gulab bola ho mujhe se , shayad hum isliye dobara mile ha'

yadon main doobe hue se maine jab ek lal surkh patan ko ithalate hue asma main dhekah to laga jaise mare yadain pankh laga kar mere ore udte hue aarahe ha.. main muskura kar uthe use padkne ke liye magar vo mujhe se muh mod kar ek chote se kund main ja giri... maine kuch der tak usko apne apko pani main samate hue dhekha, phir apna camera uthaya aur chla pade uske tasverain utharne, tasveerain utarte hue lag rha tha jaise mere yadian apna rang us nishchal, rangheen pani main ghool rahe ha, pani use rang ko kudh main milana ne chata par visvash ha apne nishchal aur pardarshi swarop ke karan, patang bade he aasahaye se pani apne antim saanso se jang lad rahe the.. jaise koi apne jeevan ke antim bela ke peda ko muk bhav se vyakt kar raha ho..

Tabhi ek vichar mere maan main muskurata hua aiya.. gulabi rang liye patang jab aasma main udte ha to lagta ha jaise aasaman ke sare lalema lekar nach rahe ho kabi apne dhun pe aur kabhi apne saathi pawan ke taal pe...khule aasma main, main phir se apne aatet ke yadon main doobte chale gaye jab patang ke tarah main bhe uda karte the.. magar patang ka lal rang mujhe bar bar vapas le aata aur main tasveerain khichne lagte , lal rang jab aur gehara ho gaya to use dhekha to mera dil bhar aiya..ajeb dar aur ghabrahat ka ehash hua surkh lal rang aur tane hue kaya jise udne ke aadat se ha usko neeras pani bade sahajta se apne sthir tan main dubo raha tha ..tane hua kaya sikud rahe the aur rang halka ho raha tha jis tarah suraj dhal raha ho aur lalima chat rahe hoon, jis tarah chingari andhakar main sama rahe ho..jis tarh jeevat kaya agni main sama rahe ho.. main doobte ja rahe the sikud te ja rahe the..jal rahe the, achank kisi ne akar kaha 'akhir tum mil he gaye..' maine dhekha palat kar aur laga jaise mere yadon ke andheri raat main chand nikal aiya ho, jaise chingare law ban rahe ho.. chandni se mere sara sansar chamak utha ho, jaise mere aatam ko ek naya roop mil gaya ho.. aur maine phir kaha .. 'shyad hum isiliye dobara mile ha... '